Rahi Bastavi
tere payal ki jhankaar…are re baban ababa
tujhe kaun karega pyaar…are re baban ababa!
tu ghar aangan ki izzat thi…pehle is ghar ki zeenat thi
tujhse duniya aabaad hui…tu hi pehle barbaad hui
bikti hai khule bazaar…are re baban ababa!
tujhe kaun karega pyaar… are re baban ababa!
kahi maa hai kahi biwi bankar…beti hai, behan hai tu ghar ghar
kadmo mein tere jannat aayi…phir bhi na tujhe gairat aayi
yeh roop tera singaar…are re baban ababa!
tujhe kaun karega pyaar… are re baban ababa!
ache ache gir jaate hai…bas ek teri angdaayi mein
ek lamhe main das leti hai…nagan bankar purvaee mein
tera kaun banega yaar…are re baban ababa!
tujhe kaun karega pyaar… are re baban ababa!
tu ghar mein dulhan ban kar aayi…pehle to bahut kuch sharmaee
ab ghoom rahi hai sadko par…koi sangh chale pichar sichar
tere har din hai itwaar…are re baban ababa!
tujhe kaun karega pyaar… are re baban ababa!
Nikhat Amrohi
Main tujhko sikhau pyaar…are re baban ababa (2)
koshish hai meri bakaar…are re baban ababa!
main ek kali pyaari si…main gulshan ki hariyaali
tu ek harjaayi bhawran…fir ta daali daali
teri rag rag mein ayyaari…mein ladki bholi bhaali
meri lehja khushbu jaisa…teri baat baat mein gaali
mein saahil tu majhdaar…are re baban ababa!
mein tujhko sikhau pyaar.. are re baban ababa!
tu ek shikaari cheetah…mein seedhi sachhi gaay
tu kaid kare duniya mein…aur mujhko aib laagaayein
mere paav mein hai jo ghungroon…tune hi mujhe pehnaaye
waadon se mujhe behlaaye…tu jhooti kasmein khaaye
ek din mein sau sau baar…are re baban ababa!
mein tujhko sikhau pyaar.. are re baban ababa!
teri har nainsaafi…rehti hain meri nazar mein
maathen pe shikan hon tere…to dard ho mere sar mein
badle hai kitne saathi…tune is ek safar mein
tu ghoomein duniya bhar mein…main kaid rahun tere ghar mein
dohra hai tera kirdar…are re baban ababa!
mein tujhko sikhau pyaar.. are re baban ababa!
kya saath hai tera mera…tu shaam hai mai hoon savera
main ghar pe rasta dekhoon…tera basti basti dhera
tu ek feraahi panchi…har shaak pe tera basera
aur mujhpar ye paa baadi…main naam japu bas tera
tu chaahe biwiya chaar…are re baban ababa!
mein tujhko sikhau pyaar.. are re baban ababa!



